Friday 8 March 2013

Happy Women’s Day (March 8)


Happy Women’s Day (March 8)

Aaj March 8 Women’s Day hain.

Woman is a loving daughter, supportive sister, dutiful wife, caring mother, kind hearted grandmother.

Woman ek powerful person hain. 

Log kehte hain ‘Bhagwan ko hum dekh nahin sakte aur Bhagwan hum sabke saath har waqt reh nahi sakte. Isliye Bhagwan ne humaare liye MAA ko banaaya hain’ Maa bhi ek aurat (woman) hain. Maa apne bacchon ko 9 months pet main rakh kar raksha karti hain. Humaare liye bahut takleef jhelti hain. Ussi se hum sab acchaiyaan seekhte hain. Phir bhi log kyun bure bante hain?? 

Maa humein patience, discipline, morals, culture, emotions etc sikhaati hain.

W - Warm hearted
O - Outstanding
M – Mentally strong
E – Encouraging
N – Naturally most tolerable human being hoti hain.

Women ki wajah se (9 months pet mein rakhne se), men paida hote hain. Phir bhi men women ko kyun sammaan (respect) nahi dete hain? Aaj kal rape cases itne bad gaye hain. Un rapists ko aisa karte waqt, kya apne maa aur behen ki yaad nahi aati? Humaare desh mein, hum deviyon ke pooja karte hain. Phir bhi kuch men aise rape kyun karte hain?

Jab hum Aastha, Sanskaar channel dekhte hain, humaare mann mein bura vichaar nahi aata hain. Film ek aisa maadhyam hain, log usse inspired ho jaate hain kyunki usme over body exposure, rape, murder, crimes etc dikhaate hain. Film ke logon ne thoda Laxman-Rekha (Line of Control)mein rehnaa zaroori hain.

Pubs, disco clubs se bacche bigad jaate hain. Aur parents ko bhi bacchon ke upar thoda nazar rakhna chaahiye. Bacchon ko bahut paisa de kar unko bigaadna nahi chaahiye.

A research shows that women are more intelligent than men though their brain is 8% smaller than men.
Psychologists have found that the female IQ has risen above those of men.

‘Every Home, Every Heart, Every Feeling, Every moment of Happiness is incomplete without women. Only women can complete this world’             

No comments:

Post a Comment