Friday 1 February 2013

VISHWA ROOPAM




                                VISHWA ROOPAM
                              (Face Of The Universe)   
      
Kamal Haasan is a talented actor. 

Unhone 'Pushpak Vimaan' (Silent movie), 'Ek Duje Ke Liye', 'Sagar', 'Chachi 420' mein bahut accha kaam kiya hain.

Isliye unka Vishwa Roopam film bhi accha hi hoga.

Shaayad uss film mein Kamal Haasan ne Allah, Quran aur Prophet Mohammad ke against kuch nahi dikhaaya hoga. Sirf terrorism ke baare mein yeh film banaya hoga. Phir bhi yeh film Universal controversy ho gayi hain.

Bhagwan Krishna ka bhi ek Vishwaroop hain. Bhagwadgeeta mein unhone Arjun ko yeh Vishwaroop dikhaaya tha.

'Yada yada hi dharmasya,
Glaanirbhavati bharat,
Abhyutthaanam adharmasya,
Tadatmaanam shrajamyaham'
Meaning : Jab jab jaha jaha adharma (Bad power) badegaa, tab tab main dharm ke raksha ke liye janm loonga.

'Paritraanaaya saadhunaam,
Vinaashaaya cha dushkrataam,
Dharma saunsthapanaarthaaya,
Sambhavaami yuge yuge'
Meaning : Acche logon ki raksha karne ke liye aur bure logon ka vinaash karne ke liye, dharm ke liye, main yug yug mein janam leta hoon.

Krishna said in Bhagvadgeeta, "Aatma (soul) nahi marta. Sirf shareer (body) marti hain. Isliye main acchayi ki raksha karne ke liye har baar janam leta hoon"

Krishna ne pehle se aaj tak ki apne saare avataar, Arjun ko Mahabharat ke kurukshetra mein dikhaaya.

Yeh hi VISHWAROOP hain.

Hindu log Bhagwan Krishna aur Ram ki pooja karte hain.

Jab Hindu devataaon ke against film banaaya toh, koi kuch nahi bolta.

Dev Anand ke film 'Hare Ram Hare Krishna mein', Dum maaro Dum....Hare Krishna Hare Ram gaana hain.

Lekin Dev Anand ne usse Hippiyon ke against banaaya tha. Hippi log Hare Krishna Hare Ram keh kar logon ko drugs dete the.

Lekin do teen saal pehle, Deepika Padukone ne Dum Maaro Dum film mein Hare Krishna Hare Ram gaane mein dance kiya tha. Uss gaane ka lyrics bahut gandha tha. Lekin kisi ne bhi objection nahi kiya. Iss gaane mein Ram aur Krishna ka kya kaam tha?

Hinduon ko bhi apne Bhagwan ke upar vishwaas aur pyaar hain. Kya Hinduon ko bura nahi lagta?

Film 'Student Of The Year' mein Goddess Radha ko sexy kahan hain.

Iske baare mein BJP ke Sushma Swaraj ne oppose kiya toh, desh ke ek MP ne bhi react nahi kiya.

Baadme film ke director ne news mein film 'Sangam' ka Bol Radha Bol Sangam hoga ki nahi gaane ka clips dikhaaya.

Humko lagta hain Sangam ke gaane mein 'Devi Radha' ka naam lena nahi chaahiye tha kyunki heroine ne swimsuit costume pehna tha.

Lekin atleast uss film mein heroine ka naam Radha tha.

Student Of The Year mein heroine ka naam Shanaya tha. Gaane mein kyun 'Sexy Shanaya' nahi kaha??

Sexy Radha kyun kaha??

Aur urine ko ganga jal keh diya.
Film ke director, producer, writer unke parents ko ganga jal keh kar khud ka urine dete hain kya?

This is insult to Hindu community!!

Iss desh mein Hindu majority ho kar bhi, Hinduon ke bhagwaan ko aur ganga jal ko insult karte hain. Tab koi bhi Hindu Minister ya Chief Minister awaaz nahin uthaate. Lekin minorities ke baare mein kuch galat keh diya toh picture release ke liye bahut hungama hota hain.

Yeh hi secularism aur democracy hain kya?

Kyunki politcians majority se zyaada minorities ke votes ke liye tadapte hain.

HINDUstaan mein Hindu ko hi security nahi hai. Hum majority ho kar bhi, apne desh mein opinions openly bol bhi nahi sakte hain kyunki 'Vote Bank' yaha important hain.

Yeh hi Bharat Roopam hain (FACE OF BHAARAT)







No comments:

Post a Comment